Saturday, May 7, 2011

Nothing to do..!!!

pehla post 2008 me, aur ab teen saal baad agla post......kya break liya maine bhi....aisa nahi hai ki maine login nahi kiya.......kiya tha, but kabhi mood nahi bana kuch likhne ka..........
wo first post likhte hue bada excitement tha.........waisa dobara aaya hi nahi....... well may be waisi koi trip bhi nahi rahi...!!!!

aaj bhi bas kuch karne ho nahi hai, to main likh raha hu..!!!

saala B'lore me almost three years ho gaye, but abhi tak Kannada nahi aayi, gin k do sentence sikhe..."Kannada gothila=I dn't understand Kannada.." aur "noor-naal-koo=104... radio 104 k kaaran..""
......I guess, tuttii-futti hindi inhe samjh aa hi jaati, so kahe bekaar me effort maarna..........."chalta hai... kat rahi hai...""

but B'lore rehna bhi mast experience hai....warna kisne socha tha ki lunch kabhi "Andhra mess..",.. kabhi "Kerala Mess.." to kabhi "Orriya Mess..." me karenge....... chicken/mutton to khaya tha....but ab to duck, prawn, fish aur rabbit k bhi starters kha liye........

unity in diversity sunna tha, but apne office me dekh bhi kiya...... Marathi se Punjabi... aur Kerala se Kolkata tak... har language sun sakta hu..seat pe baithe baithe..... haan kabhi kabhi bolna padta hai...."dude, translate for me..........." ...but uske bhi apne maze hai..........

college se nikle chaar saal hone k aaye... but khud se apni tak college nahi nikaal paye........... office me bhi bhayanak bakwaas chalti hai....... literally bakchodiya hoti hai........ upar se mujhe koi kambhakt serious hi nahi leta..... har baat ko mazaak hi maante hai..."
...mera TL smoke karne ja raha tha, to maine poocha......."Boss, yeh kaam ho gaya....... uski update bhi gayi......aur to I guess kuch reh nahi gaya..." to woh bola..."haan, ho gaya sab......."", so I asked......" ok...to.. main volleyball khelne jao..........."" to woh hasne laga gaya......!!! ab yaar, it was a genuine question..!!!

now I'll end with a strange incident............

abhi last week mera friend flight se aaya, to take-off k baad, flight about 40 mins taks hilti rahi....sare passensgers k lag gayi.......woh kissi tarah lad-jhagad k cockpit me gaye, n pilot ko bole..... "license dikhaoooo.......""" (a little background..aajkal kafi pilots fake nikal rahe hai)
n guess what.......uska license "LEARNING" nikla.............

to log gussa ho gaye....bole....... "saale LAW naam ki koi cheez hai ki nahi.......... plane k aage "L" to laga dete...."

actually..woh last wali baat maine add kardi...!!

No comments: